Friday, May 7, 2010

Happy Birthday Radhika

Itne zyada nicknames hai inke
Ki bhul jaate hai ki kaunse naam se bulaye
Ghandrika venom kahe ya late latif bulaye
Is ladki ki baatein sunte sunte aap kitna bhi thak jaaye
Phir bhi inka energy meter zara bhi niche na aaye

Ghar se zyada mandir mein rahein
Nonstop gyaan aapko free mein mile
Har kaam dil lagake kare
Dusro ki help karne mein
Sabse aagey rahein

Hamara phone yeh kabhi naa uthaye
Phir bahane banakar humko manaye
Tomboy kahein ya kahein inko ‘nun…nun…nun’
Twelve ko toll kahein inke saathisang
Radhika aur satsang ka hai atoot sangam

Khakhra gang ki yeh hai anokhi member
Dil se achhi hai
Aksar rads ki baatein sabko hasati hai'
Kabhi lagti hai daadi amaa sabki
Aankhir ghar mein didi hai yeh sab se badi
Ho aap koi bhi age ke , bachhe , bade yaa buzurg
Radhika ki hai sasbe bantii
Sauce mein dubayi hui har cheez hai inko achhi lagti
Sajne sawarne ki baatein inke palle nahi padti
Pehli march ko hai inka janamdin

Jo is saal humne manaya karke bowling
Purple colour ka cake tha
Khakrites ka saath tha
Kaunsa hotel mein dinner kare

Yeh sabse bada question mark tha
Holi ka tyohar tha , har hotel mein waiting tha
Khana tha masala dosa sankalp mein
Par khaya cheese dosa raju’s kitchen mein
Saggy ki pepsi aayi bees minute baad
Masala papad se gayab tha masala aur swad
Sabzi ka naam Veg hariyali ya Veg. hyderabadi tha
who thi ek mystery
sodapub mein kiya order munzii ne flavor kashmiri
while viral was catching a train from andheri
Gathered at 5 and left at 10
In between had a lovely time on hand
Panner handi mein itna paneer tha ki yaad aa gayi mani ki
Air hockey khelte khelte baji pratik ke phone ki ghanti
Pakia ko miss karnewala tha baitha mere opposite
Har ball daaale gutter mein ..am talking of munziii
Punjabi khaye ya chinese iske liye kiya humne voteout
Khana time mein milega ya nahi tha humko doubt

Moral of the story is
“We guys will always stand out from the crowd”

No comments:

Post a Comment